*AMIT KUMAR NAYNAN*
CHESS : CHESS is the Most Interesting Mind Game in The World till Date. CHESS Story Series First Story Bisaat has been presented here Right now. We Wish All of You will Enjoy CHESS & BISAAT*
CHESS 1 : BISAAT -- The Ultimate Game
Ajit apne ghar mein baitha TV dekh raha hai. Tabhi Call bell bajti hai. Uske ek haath mein coffee aur dusre haath mein TV ka remote hai. Wo use rakhkar darwaaza kholta hai.
Ajit : Aman ! Tu .......!!
Aman : Kyun ! khushi nai hui ..?
Ajit : Beshaq yaar ! ..chal ander aa.
Ajit Aman ko ghar ke ander aane ka raasta deta welcome karta hai.
AJIT : Mujhe laga ki tu ..
AMAN : Nahi lautega ..videsh chala gaya hoga.
AJIT : Sure
Ajit aur Aman darwaaje se ander sofe par aaraam se baithte hain. Ajit welcome serve karne ke andaaz mein puchhta hai.
AJIT : coffee piega ..banaun !
AMAN : Mujhe jaldi bhagaana chaahta hai.
AJIT : Teri aadat nai gai ..ulta jawaab dene ki.
AMAN : Are ! Ulta jawaab kam se kam jawaab to hota hai ..teri tarah sawaal to nai hota.
Aman sofe par dono ore baahein pasaarta itmeenaan se kahta hai.
AMAN : Aaj fursat mein hun.
AJIT : Aaj chutti hai ..
AMAN : Hamesha ke lie ..
AJIT : Teri naukri ..
AMAN : Ek kaam pakda hai, pura karke hi rahunga
AJIT : Iska matlab teri naukri ..
AMAN : Tu sawaal band karega to main ulta jawaab dena band karunga.
AJIT : le ! maine munh par taala laga liya. apne hi ghar mein gungaa ..
AMAN : kuchh aur baat karein.
Ajit Aman ke baat ka andaaz badalne ke andaaz se usee andaaj mein arthpurn lahje mein puchhta hai.
AJIT : Kuchh khaas ..kisi special kaam se aaya hai. to abhi kah de.
AMAN : Aaj fursat mein tha to chala aaya.
Aman idhar-udhar najrein ghumaata romanchak shailee mein achaanak mano faisla sunaata hai.
AMAN : Aa ! Aaj Chess khelte hain.
AJIT : Game
Ajit uske apratyaashit mood par muskura deta hai. Use lagta hai jaise fursat ke kshanon mein isse achcha doston ke beech do-do haath ka isse behtar samay aur tareeka kam se kam is samay koi aur nahin
AMAN : Ek-ek haath ho jaaye
AJIT : ok
Ajit chessboard le aata hai. Phir dono chessboard lekar aamne-saamne baithte hain.
TO B CONTINUED*
No comments:
Post a Comment