AMIT KUMAR NAYNAN
@ 1001 FREE STORIES*
Aaj un logo ke beech sandhi ho gai thi. Saare gile-sikwe khatam ho gae the. Saare case-mukadme bhi khatm ho gae the. Baakayda judge ne bhi case close kar diya tha. Aaj sach much sabhi is baat par raahat mahsoos kar rahe the ki saaree baatien sulah-sajhauta ke dwaara puree hui, aur kushal mahaul phir se barkaraar rah gaya.
Sawaal yah tha ki aisa hua kyon ?
Kya aisa hona waakai jarooree tha !
Life hunsane khelne ke liye hai.
Life ladne jhagdane ke liye nahi hai.
Agar hume kisee bhi prakaar ki nakaaraatmak baaton yaa cheejon mein khushee mil rahee hai to humare ander daanav utapann ho raha hai.
Isse hume bachkar rahna hoga ...
Humaara dushman humare baahar nahi humare ander maujood hai.
Hume satya ko satya ke rahasya ko samajhna hoga !
No comments:
Post a Comment