Saturday 29 July 2023

WRITER

 


Philospher

Astro reader

Writer



PHILOSOPHY

Sahi Sahi hai galat galat; galat ko sahi kia to jaa sakta hai magar sahi thahraya nahi jaa sakta.

Apraadh ko kisi bhi philospy mei justify nai kia jaa sakta.

&

Awaanchhit rup se ki hui galti, galti se ho gai galti, jaan bujhkar ki gai galti ke lie vividh dand ki paribhasa tay ki jaa sakti hai magar samaan desh, kaal, paristhiti mei uss galti ke dusparinaam samaan hote hain. Isliye galtiyon ka ganit chahe jo ho uske parinaam samaan situation mei samaan hote hain.


'Agar koi kaam mere dwara na hoker kisi aur ke dwara ho gaya to kya hua uss karya ka uddeshya to pura ho gaya'

Yah sab philospy mangadhant mansukh dene waali philospy hai.

Is prakaar to Adhikaar shabd ka arth hi khatm ho jaega; Bairaagiyon waalee bhasa bhautikwaadee duniya mei nahi chalti; Visheshkar tab jab iska labh Bhautikwaadee log uthaen; usme bhi jab bhautikwaadee log Bhautikwaad ke lie iska labh uthaen tab to yah aur bhi haasyaaspad aur purn anuchit ho jaata hai.

Yah to wahi baat hui kisi ko loot lo phir kaho is duniya mei khaalee haath aae ho khaalee haath jaana hai. 

Pravachan aur Suvachan ke chhadm mei Anyaay ki raksha nai ho sakti.

Aur sach to yah hai ki Anyaay ki raksha kabhi nahi ho sakti.

Agar aapka bachcha koi aur paal poskar aapse uske apna Bachcha kahne ka Adhikaar bhi chheen le to kya Aap is Aapbeeti ko Sahi thahra sakte hain. Ajee ! Sahi thahrana to dur is Aapbeeti ko aap bardasht bhi nai kar paaiega.


Achche karya achche tareeke se hi sampann hote hain ! Yadyapi desh-kaal-paristithi ke anusaar saam-daam-dand-bhed apnana pad sakta hai aisa Ishwar ko bhi karna pada tha magar yah routine work yaa routine situation mei nahi balki anivarya aprihaarya condition mei wo bhi conditionaly sahi hai !

No comments:

Post a Comment