*INTERESTING : EK ACHCHA TAREEKA HAI ... KISEE GALAT KAAM KO KARNE KA KI WO KAAM KAISE KARE KI GALAT NAHI KAHA JAE ..AAJKAL
*WRITER KI KAHAANEE PAR JAB KOI STEALTHERAPY METHOD SE FILM BANTI HAI TO WRITER PAHLE MUKDARSHAK PHIR MURKHDARSHAK BANKAR RAH JATA HAI ..
*WO KAHAANEE JO EK LINE MEI NAHI KAHI JA SAKTI FILM KI KAHAANEE NAHI HO SAKTI ..(YADYAPI YAH EK JUMLA MAATRA HAI MAGAR PRACHLIT HAI) ..MAGAR JAB USEE KAHANEE YA USKE ONE LINE KO DEVELOPE KAR JAB KOI FILM BINA PUCHHE BANTI HAI TO KAHA JATA HAI KI ISME TO KAHANEE KA ONE LINE HI MAUJOOD HAIB ..BATAIE YAH LADAI KAUN LADEGA ..ONE LINE MEI KAHA TO PURI FILM THI AB FILM MEI ONE LINE HI TO HAI HO GAYA ..
FUNDA ..YAH TO EK FUNDA HAI ..AISE KAI FUNDE HAIN ..WRITER KARE TO KYA ..WRITER KARE TO KYA KARE ..
AGAR NA BOLE TO ISEE TARAH RAHE AUR BOLE TO UN GALAT KARNEWALO KA TO KUCH HO NA HO MAGAR WRITER PAR KROADH UTARNA TAY HAI ..
TO YAH HAI FUNDE KA FUNDA ..
No comments:
Post a Comment