A Business Bonding
*MARKET INSAAN NAHI KAAM KE SIDDHAANT PAR CHALTA HAI; MARKET EK AISA BAAZAAR HAI JAHA INSAAN KI PEHCHAAN USKE KAAM SE HOTEE HAI*
Is sidhaant ko jitnee jaldi samajh lia jae utna hi achcha hai
Aam insaan yaa wah insaan jabtak yah nahi samajh pata tabtak woh market ke lie baazaar ka ek item maatr hai
Agar ..is market mei tikna hai to ...is market ko aatmsaat karna hoga ..is market ka hissa banna hoga*
Insaan Market ke haath ki kathaputli hai
Insaan Achhaai aur Buraai ke taraaju mei taulata rahata hai jabki Market Labh aur Haani ke rup mei Insaan ko taulate rahatee hai
Insaan sirf us din hi Market par Raaj kar sakta hai jis din wo Swayam ko bechana aur dusaron ko khareedana seekh jae ...
To Be Continued
No comments:
Post a Comment