GRAMMER : PAANEE SHABD HAI
BHAUTEEKI : PAANEE DRAV HAI
RASAAYAN : PAANEE H2O HAI
RANG : PAANEE RANGHEEN HAI
PRAKRITI : PAANEE SHEETAL HAI
KHAGOL : PAANEE BHAUTIK PADARTH HAI
RUP : PAANEE KA KOI RUP NAHI HAI
AKAAR : PAANEE SARVAAKAAREEYA HAI
LOOK : PAANEE VISIBLE HAI
BHAAR : PAANEE VAJANYUKT HAI
JEEVA VIGYAAN : PAANEE NEERJEEV HAI
BHUGOL : PAANEE BHAUGOLIK PADARTH HAI
ANK : PAANEE SANKHYAATMAK NAHI MAATRAATAMAK HAI
ISEE PRAKAAR KAI UDAAHARAN HAIN
AAP KISI KO KAI PRAKAAR SE PARIBHAASIT KAR SAKTE HAIN
GYAAN KE PRACHLIT RUP MEI SUBJECT HAI TO SWATANTRA YA MIX RUP MEI TEXTURE
AGAR AAP KAHTE HAIN KI PAANEE EK BHAUTIK DRAV HAI TO EK SAATH EKAADHIK VISHAY SAMAAHIT HO GAE YAH MIXTURE PRESENTATION HAI
SABHI SATYA HAI
MASLA YAH HAI KI HUM MAAMLE KO DEKHTE KIS NAJRIE SE HAIN
AUR NAJRIA HUME SWAYAM YA KISI ANYA SROT SE AATA HAI
ISME BHI VIDAMBANA YAH HAI KI
ISME HUM JISE SAMAJH LETE HAIN USE HI SATYA MAAN LETE HAIN AUR NA SAMAJH AAI BAATEIN UDAAHARAN HUMAARE LIE ASATYA YAA MAGIC BAN JAATEE HAIN
EK TO MAAMLA SWAYAM AUR SROT KE SANDARBH SE DEKHNE KA HOTA HAI, USPAR SAMAJH KE FER KA MAAMLA SE EK MULBHUT SATYA KE KAI SATYA PRAKAT HO JAATE HAIN
AUR INTERESTING BAAT YAH HAI KI HAR UDAAHARAN SATYA HAI KOI LAGHU KOI VRIHAD MAGAR SABHI MULBHUT SATYA KE ANDER
No comments:
Post a Comment