Tuesday 19 September 2023

WORK @ ART @ NEPOTISM



"WHAT IS NEPOTISM"

BASICLY NEPOTISM KE BAARE MEI ACHCHA YA BURA BOLNE SE PAHLE KISI KO BHI SAMPURN TAREEKE SE SOCHANA HOGA. NEPOTISM SABHAYATA KE AARAMABH SE HI SAMAAJ KA HISSA RAHA HAI. ISKE SAHI AUR GALAT UPYOG PAR SAAMYIK PRASHNA HOTE RAHE HAIN. ISKE NIHITAARTH KO KHULKAR SAMAJHNE KA WAQT AA GAYA HAI.

"AT START, NEPOTISM IS A NATURAL PART OF SOCIETY AND ITS GOOD OR BAD FACTOR HAS BEEN DECIDED ON ITS ACTIVITY"


@ NEPOTISM KYA HAI

SACHCHAI YAH HAI KI NEPOTISM HAR KAAL MEI HAR STHAAN PAR HAR KSHETRA MEI HAI KYUNKI ISKI PARIBHASA HI YAHI HAI KI HUM JIS MAHAUL MEI RACHTE BASTE HAIN JISKE ABHYAST HOTE HAIN USKE KUCH SWABHAAVIK AUR MAULIK GUN SWATAH APNE AAP HAMAARE ANDER AA JAATE HAIN, ISLIE AAMTAUR PAR US KAARYA AUR KHESHTRA KE LIE HUM SARAL AUR SAHAJ TAUR PAR YOGYA HOTE HAIN; MAGAR YAH YOGYATA KI GAURANTEE NAHI HAI. EK SITUATIONAL ATMOSPHERE BASE BENEFIT BHI HAI JISSE HUME US VISHYA VASTU KHESTRA VAGAIRAH KE BAARE MEI SAHULIYAT HOTI HAI. MAGAR YAH NA TO YOGYATA KI GAURANTEE HOTI HAI NA SAFALTA KI BUT AAPKO SWAYAM KO PROOVE KARNE KA RAASTA ASAANEE SE MIL JAATA HAI.

@ 'IT IS 100% POSITIVE NEPOTISM ANDOUGHTLY'


@ NEPOTISM KAHA TAK SAHI HAI ?

AGAR NEPOTISM NAE LOGO KE INTRODUCING MEI BAADHAK HO, UNKA KISI BHI PRAKAAR SHOSHAN KARTA HO, APNE SITUATIONAL BENEFITS KA LAABH UTHATE HUE KISI KA ATHWA KISI NAVODIT KA CREDIT HARAN KARTA HO, TO PHIR YAH NEGATIVE NEPOTISM HAI; BALKI YAH NEPOTISM HAI HI NAHI BALKI YAH APARADH HAI. ISKO NEPOTISM KI SHRENEE MEIN NAHI RAKHA JAA SAKTA HAI.

@ IT IS 100% NEGATIVE NEPOTISM UNDOUGHTLY


ISLIE IS BAAT KO SEERE SE SAMAJHNA JAROOREE HAI KI NEPOTISM KYA HAI, KAHA TAK SAHEE HAI, KYA SAHI HAI KYA GALAT !


AUR YAH TO DUNIYA JAANTI HAI KI GALAT KO SAHI KIYA JAA SAKTA HAI MAGAR GALAT KO SAHEE THAHRAYA NAHI JAA SAKTA, AISA KARNE SE EK AUR GALTI AUR JITNE BAAR GALAT KO SAHI THAHRANE KI PRAKTIYA AUR PARAMPARA KI JAEGEE UTNEE BAAR AUR PAR AUR GALTEE ...ISSE TO ACHCHA HAI KI GALAT KO SAHEE THAHARANE KI JAGAH HUM GALAT KO SAHEE KAR LEIN ...IT IS THE BEST WAY*

No comments:

Post a Comment